Friday 7 November 2014

NAZAR UTARNE KA TARIQA HADIS SE

NAZAR UTARNE KA NABAWI TAREEQA (HADIS KI
ROSHNI ME)
BismillahirrahmanirraheemNAZAR UTAARNE KA
NABAWI TAREEQA:Hazrat abu umama
ne apne waalida se hal bin haneef ra se unka ek
waqeya riwayat ki hai ki
janaab rasoollullah alaihissalam aur sahaba kiram
ra makka mukarrama ki
taraf rawaana hue,
jab wah mukaam juhfa ki waadi khazar me
pahunche to hazrat sahal bin haneef
ra ghusl karne lage, unka rang(color) gora tha aur
jild bahut khusk rang
thi, kabeela banu adi bin kaab ke ek sahab hazrat
amir bin rabia ( ne unhe
ghusl karte hue dekha to kaha:-" aisi jild to maine
kabhi kisi pardanaseen
larki ki bhi nahi dekhi (yani kitna khoobsurat
ranghai),
is par hazrat sahal to wahin zameen par gir
pade, kisi ne aakar
rasoollullah alaihissalam se arz kiya:-"ya
rasoollullah !
Kya aap sahal ko dekhenge, allah ki kasam! Wah
to sar bhi nahi uthate, unhe
koi aaraam nahi ho raha (shakht bukhar hai), nabi
sallallahu alahi wasallam
ne farmaya:-" kya tum uskebaare me kisi ko doshi
(gunahgaar) samjhte ho??"
sahaba ne kaha:-" aamir bin rabiaa ne unhe kapde
utaarte dekha tha, janab
rasoollullah sallallahu alahi wasallam ne aamir ko
talab farmaya, aur unhe
sarzanish farmayi, irshaad farmaya:-" ek aadmi
apne bhai ko kyon qatal
karta hai?
Agar tujhe ek cheez acchi lagi thi to toone barqat
ki dua kyon na di?" phir
farmaya:-
"uske liye apne ang(parts of body) dho (wash)",
unhone ek bartan me chehra,
haanth kuhniya, ghutne, pair(foot), aur tahband ke
andar wala hissa dhokar
(wah paani) dediya, wah paani(water) sahal par
daala gaya, uska tareeqa
yah hota hai ki jisko nazar lagi ho, koi insan paani
uske peeche ki taraf
se uske sar(head) aur kamar(waist) par daal de,
phir bartan bhi uske peeche hi ulta karke rakh de,
baherhaal hazrat saad
ke saath aisa hi kiya gaya to wah theek thaak
hokar logon ke saath rawaana
ho gaye( Musnad ahmad 2/486,)(Moatta imam
malik, kitabul ain,baab wuzu,

No comments:

Post a Comment