Friday 7 November 2014

HAMELA KO NAZAR SE BACHANE KI DUA 5

HAMELA W BACHHO KO NAZAR E BAD SE
MAHFOOZ RAKHNAY K LIYE:
En aayaat sharifa ko zafran w arq gulab se ya
khanay k zard rang se en
ayaat ko likh kar momjama karkay hamela k
sidhay bazu pe bandh de to hamela
w uskay shikam ka beta nazar e bad se mahfooz
rakhta hain.bachay ki wiladat
k bad esay bachay k galay me pahnaye to wo bhi
har nazar k khatrat se
mahfooz rahta hain.
wo aayat e sharifa ye hain...
ﺇِﺫْ ﻗَﺎﻟَﺖِ ﺍﻣْﺮَﺃَﺓُ ﻋِﻤْﺮَﺍﻥَ ﺭَﺏِّ ﺇِﻧِّﻲ ﻧَﺬَﺭْﺕُ ﻟَﻚَ ﻣَﺎ ﻓِﻲ ﺑَﻄْﻨِﻲ
ﻣُﺤَﺮَّﺭًﺍ ﻓَﺘَﻘَﺒَّﻞْ ﻣِﻨِّﻲ ﺇِﻧَّﻚَ ﺃَﻧﺖَ ﺍﻟﺴَّﻤِﻴﻊُ ﺍﻟْﻌَﻠِﻴﻢُ
ﻓَﻠَﻤَّﺎ ﻭَﺿَﻌَﺘْﻬَﺎ ﻗَﺎﻟَﺖْ ﺭَﺏِّ ﺇِﻧِّﻲ ﻭَﺿَﻌْﺘُﻬَﺎ ﺃُﻧﺜَﻰ ﻭَﺍﻟﻠّﻪُ
ﺃَﻋْﻠَﻢُ ﺑِﻤَﺎ ﻭَﺿَﻌَﺖْ ﻭَﻟَﻴْﺲَ ﺍﻟﺬَّﻛَﺮُ ﻛَﺎﻷُﻧﺜَﻰ ﻭَﺇِﻧِّﻲ ﺳَﻤَّﻴْﺘُﻬَﺎ
ﻣَﺮْﻳَﻢَ ﻭِﺇِﻧِّﻲ ﺃُﻋِﻴﺬُﻫَﺎ ﺑِﻚَ ﻭَﺫُﺭِّﻳَّﺘَﻬَﺎ ﻣِﻦَ ﺍﻟﺸَّﻴْﻄَﺎﻥِ
ﺍﻟﺮَّﺟِﻴﻢِ ﻓَﺘَﻘَﺒَّﻠَﻬَﺎ ﺭَﺑُّﻬَﺎ ﺑِﻘَﺒُﻮﻝٍ ﺣَﺴَﻦٍ ﻭَﺃَﻧﺒَﺘَﻬَﺎ ﻧَﺒَﺎﺗًﺎ
ﺣَﺴَﻨًﺎ ﻭَﻛَﻔَّﻠَﻬَﺎ ﺯَﻛَﺮِﻳَّﺎ
su.imran aayat 35/36
yahan mainay nazar e bad w ussay bachnay k aur
nazar e bad k asar ko dur
karnay k tareeqay bataye hain,jo ba aasaani aap
kar saktay hain.
ummid hain ki jo bhi mere bhai ya bahan es post
se faeda uthaengay wo mere
murshid aur mere liye dua karaengay aur main bhi
dua karta hun ki Allah
ta'ala apnay habib sallallahu alayhi w aalehi w
sallam aapko aapkay ahl o
ayaal ko karobar ko har buri nazar se bachaye
aameen

khud ko nazar se bachane ki dua 4

KHUD KO YA KISI GHAR K FARD KO NAZAR
LAGNA:
upar mainay tareeqa bataya hain ki kis tarha se
nazar dur ki ja sakti
hain.ek aur tareeqa nazar ko dur karnay ka ye
hain ki ek sufaid kagaz pe
khanay k zard rang se ek bar surah e fateha ek
bar aaytul kursi aur aur 4ro
Qul ek ek bar likh kar usay mariz k galay me
taweez me rakh kar pahnaye
aur sub'ah w sham 3 din tak ye hi surah ya mariz
pe dam ki jaen ya pani pe
dam karkay pilaya jaen.
*esi tarha aap ye dhaga bhi bana kar estemal kar
saktay hain wo yun ki kisi
sabz dhagay pe ek girah de aur ek bar ye aayat
par kar dam karay aur girah
laga de..
ﻭَﺇِﻥ ﻳَﻜَﺎﺩُ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﻛَﻔَﺮُﻭﺍ ﻟَﻴُﺰْﻟِﻘُﻮﻧَﻚَ ﺑِﺄَﺑْﺼَﺎﺭِﻫِﻢْ ﻟَﻤَّﺎ
ﺳَﻤِﻌُﻮﺍ ﺍﻟﺬِّﻛْﺮَ ﻭَﻳَﻘُﻮﻟُﻮﻥَ ﺇِﻧَّﻪُ ﻟَﻤَﺠْﻨُﻮﻥٌ
su.Qalam, 51
esi tarha dhagay pe 11 girah de aur har girah pe
ek bar dam karna hain.
es dhagay ko aap mom jama karkay galay me
pahnay ya apnay bachho ko ya
aurat ko ya samaan me ya dukan me ya janwaron
ko pahnaye inshallah nazar ka
asar zael ho jaega.ye dhaga main khud dam
karkay rakhta hun aur taqseem
karta hun aur bahot hi mufeed hain

NAZAR KAHAA LAGTI HE OR ALAAMATE

Ye hain ki jab insan ko lagti hain to achanak
1)bimar ho jana hain or bimari hoti hd magar koi
dawaa use theek nahi kar
paati
2),badan me susti bhar jati hain
3)dimag kaam nahi kar pata, aisa lagtaa he
dimaag band ho gayaa ho
4)yaddast kamzor parh jati hain, koi kaam yaad
nahi rehtaa jis se pateshni
or barh jaati he
5)Sare badan me kamzori aajati hain, haath per
kaam nahi karte bus esa
lagtaa k sktaa hi rahu
6)chid chidapan aajata hain,kisi ki baat achchi nai
lagti
7)gumsum rahta hain,wo khud nahi samjpata k i
usay kya huva hain na or koi
samaj pata he
8)jab karobar me lagti hain to chalta huva karobar
ruk jata hain aur din b
din sell girti jati hain,aur dukan ya showroom band
karnay ki naubat aajati
hain ya to chaltaa he magar paise ki aisi dikkat
aati he k samaj me nahi
aata kya ho rahaa he or pareshani barh jaati he.
9)agar janwar ko nazar lagay to janwar dudh dena
band kardeta hain,bimaar
ho jata hain,aur agar waqt pe elaj na kiya jaen to
maut bhi ho jati han
khana pina band kardete he chillane lagte he.
10)agar bachcho ko lagti hain to bacha rota rehta
rahta hain,kisi cheez se
bhi chup nahi hota
,na khelta hain
na thik se sota hain bus pareshaan kate he
aur na kahin chain se baithta hain.
bukhar bhi aajata hain.
11)daulat ko nazar lagti hain to barkat khatm ho
jati hain aur rupay ki
tangi hoti hain,kharchay barh jatay hain,income
band ho jati hain,
yahan tak ki sari bachat bhi khatm hojati hain aur
insan qarz me mubtila ho
jata hain jaisay rupay aur uskay darmiyan ek
dushmani si ho jati hain.
aisy kai alamatay hain.aur ye sahar jadu se milti
julti alamatay hain.
bahot mumkin hain ki aap jisay sahar jadu ka
mamla samj rahay hain wo nazar
e bad ki tabahi ho.
sahar ki aur nazar ki alamatay ek si hain,
esliye aap ko lagay ki shayid kisi ne jadu tona kiya
hain aur aap ek
musibat se dusri me gir jaen

BACHCHO KA NAZAR NA LAGNE KI DUA 2

BACHO KO NAZAR LAGNA:
Jo bachay sehatmand aur khubsoorat hotay hain
wo aksar nazar e bud ka
shikar hotay hain,aur aksar apnay gharwalon ki
nazar lag jati hain.eska ek
elaj to upar likh diya ki kisi bhi chiz ko ya aisay
bachay ko dekh kar
"masha Allah wala quwat ila billah." kahay.
chotay bachho ko nazar lag jaen to 3 bar sure
kausar parh kar chehray pe
dam kiya jaen.aisa 3 din tak karay,inshallah essay
bhi asar zael ho jati
hain

NAZAR KISI KO NA LAGANE K ALFAAZ

insan ki nazar me bhi ye asrat e bud paida ho jata
hain aur uski nazar
bhari ho jati hain.aisay insan ko jab bhi koi chiz
maloom ho to
ﻣﺎﺷﺎﺀ ﺍﻟﻠﮧ ﻭﻻ ﻗﻮﺓ ﺍﻻ ﺑﺎﻟﻠﮧ
kahna chahiye.essay nazar e bad ka asar zael ho
jata hain.

MAAL PAR NAZAR NA LAGNE KI DUA1

Nazar ka lagna haq hain aur
Esliye Allah rabbul izzat ne nazar se hifazat k liye
apnay habib sallallahu
alayhi w sallam k tufayl eska elaj bhi zahir
farmaya hain.
jaisay ki hazrat khwaja hasan basri radiallahu
anhu ne irshad farmaya hain
ki agar kisi shakhs ko apnay ya apnay maal
wagaira ko nazar lagnay ka
andesha ho to surah e noon ki aakhri aayat 3 bar
parh kar andesha wali
chiz pe dam karay…wo aayat ye hain…
ﻭَﺇِﻥ ﻳَﻜَﺎﺩُ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﻛَﻔَﺮُﻭﺍ ﻟَﻴُﺰْﻟِﻘُﻮﻧَﻚَ ﺑِﺄَﺑْﺼَﺎﺭِﻫِﻢْ ﻟَﻤَّﺎ
ﺳَﻤِﻌُﻮﺍ ﺍﻟﺬِّﻛْﺮَ ﻭَﻳَﻘُﻮﻟُﻮﻥَ ﺇِﻧَّﻪُ ﻟَﻤَﺠْﻨُﻮﻥٌ
ﻭَﻣَﺎ ﻫُﻮَ ﺇِﻟَّﺎ ﺫِﻛْﺮٌ ﻟِّﻠْﻌَﺎﻟَﻤِﻴﻦَ
ya

NAZRE BAD KYA HE?


Sab se pahlay samjlay ki nazr e bud misl e zahar
hain.
jisko Allah ta’al ne b’az insano ki aankhon me
paida kar diya.
jis tarah bichhu ka dank hain,aur sanp k munh me
zahar de diya hain.esi
tarha kuch insano ki ankhon me zaharili taseer
paida kardi gayi hain.
nazar sheesha to kya paththar ko tod deti hain
dariyaon k pani ko sukha deti hain.
aur insan ko jab lag jati hain to pareshaani k dal
dal me pahocha deti hain.
nazar jab haray bharay baago ko lagti hain to
darakhton ko sukha deti hain.
aisa nahi ki nazar sirf insano ko laga karti hain,ye
insan makaan
dukaan,bag khet,karkhana,aamdani,paidavar,maal
daulat,garz ki har chiz ko
lag jati hain.

NAZAR UTARNE KA TARIQA HADIS SE

NAZAR UTARNE KA NABAWI TAREEQA (HADIS KI
ROSHNI ME)
BismillahirrahmanirraheemNAZAR UTAARNE KA
NABAWI TAREEQA:Hazrat abu umama
ne apne waalida se hal bin haneef ra se unka ek
waqeya riwayat ki hai ki
janaab rasoollullah alaihissalam aur sahaba kiram
ra makka mukarrama ki
taraf rawaana hue,
jab wah mukaam juhfa ki waadi khazar me
pahunche to hazrat sahal bin haneef
ra ghusl karne lage, unka rang(color) gora tha aur
jild bahut khusk rang
thi, kabeela banu adi bin kaab ke ek sahab hazrat
amir bin rabia ( ne unhe
ghusl karte hue dekha to kaha:-" aisi jild to maine
kabhi kisi pardanaseen
larki ki bhi nahi dekhi (yani kitna khoobsurat
ranghai),
is par hazrat sahal to wahin zameen par gir
pade, kisi ne aakar
rasoollullah alaihissalam se arz kiya:-"ya
rasoollullah !
Kya aap sahal ko dekhenge, allah ki kasam! Wah
to sar bhi nahi uthate, unhe
koi aaraam nahi ho raha (shakht bukhar hai), nabi
sallallahu alahi wasallam
ne farmaya:-" kya tum uskebaare me kisi ko doshi
(gunahgaar) samjhte ho??"
sahaba ne kaha:-" aamir bin rabiaa ne unhe kapde
utaarte dekha tha, janab
rasoollullah sallallahu alahi wasallam ne aamir ko
talab farmaya, aur unhe
sarzanish farmayi, irshaad farmaya:-" ek aadmi
apne bhai ko kyon qatal
karta hai?
Agar tujhe ek cheez acchi lagi thi to toone barqat
ki dua kyon na di?" phir
farmaya:-
"uske liye apne ang(parts of body) dho (wash)",
unhone ek bartan me chehra,
haanth kuhniya, ghutne, pair(foot), aur tahband ke
andar wala hissa dhokar
(wah paani) dediya, wah paani(water) sahal par
daala gaya, uska tareeqa
yah hota hai ki jisko nazar lagi ho, koi insan paani
uske peeche ki taraf
se uske sar(head) aur kamar(waist) par daal de,
phir bartan bhi uske peeche hi ulta karke rakh de,
baherhaal hazrat saad
ke saath aisa hi kiya gaya to wah theek thaak
hokar logon ke saath rawaana
ho gaye( Musnad ahmad 2/486,)(Moatta imam
malik, kitabul ain,baab wuzu,

NAZAR KO PEHCHANNE KA TARIQA

isme sub se best to EGG hai  1 glass pani leke sir se pau tak
BISMILLAH shareef parh kar
round kare or wo pani men get ki dheliz pe baha
de nazar utar jaegi or
nazar utarne k bad agr apko pani ka glass bhari
mehsus ho to iska matlb
nazar agr halka mehsus ho to nazar nai he.

NAZAR UTERNE KA QURANI TARIQE

1)charon Qul,Aayat'al kursi aur Surae Qalam ki
akhri aayaat ki tilawat kr k
dam karde
2)Quran paki ki surah falak,surah nas,Ur surah
ikhlas hay parh kar dam kare
3)nazar utarnay k liya aatay main hath lagwa ker
jis ko nazar lagi ho awal
o aakhir 7 bar darood or 4 qul or ayat ul kursi perh
k aata kisi ghareeb ko
dene se b kaha jata hai k nazar b uterti hai or
sadqa b nikal jata hai to
balain b door ho jati hain